hansi chhupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya ye ek jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya utha to ja bhi chuka tha ajib mehman tha sadaen de ke mujhe nind se jaga bhi gaya ghazab hua jo andhere mein jal uthi bijli badan kisi ka tilismat kuchh dikha bhi gaya na aaya koi lab-e-baam sham dhalne lagi wufur-e-shauq se aankhon mein khun aa bhi gaya hawa thi gahri ghata thi hina ki khushbu thi ye ek raat ka qissa lahu rula bhi gaya chalo 'munir' chalen ab yahan rahen bhi to kya wo sang-dil to yahan se kahin chala bhi gaya