tere badan se jo chhu kar idhar bhi aata hai misal-e-rang wo jhonka nazar bhi aata hai tamam shab jahan jalta hai ek udas diya hawa ki rah mein ek aisa ghar bhi aata hai wo mujh ko tut ke chahega chhod jaega mujhe khabar thi use ye hunar bhi aata hai ujad ban mein utarta hai ek jugnu bhi hawa ke sath koi ham-safar bhi aata hai wafa ki kaun si manzil pe us ne chhoda tha ki wo to yaad hamein bhul kar bhi aata hai jahan lahu ke samundar ki had thaharti hai wahin jazira-e-lal-o-guhar bhi aata hai chale jo zikr farishton ki parsai ka to zer-e-bahs maqam-e-bashar bhi aata hai abhi sinan ko sambhaale rahen adu mere ki un safon mein kahin mera sar bhi aata hai kabhi kabhi mujhe milne bulandiyon se koi shua-e-subh ki surat utar bhi aata hai isi liye main kisi shab na so saka 'mohsin' wo mahtab kabhi baam par bhi aata hai