hansi hansi mein koi khel chal raha hoga sadak pe phir koi insan jal raha hoga bahut udas hain hakim agar to shahr mera kisi fasad ke sanche mein dhal raha hoga jo garm chhinte hawaon ke sath aate hain kisi ki aankh ka pani ubal raha hoga andheri raat mein tapka tha khun-e-dil jis mein usi charagh se suraj nikal raha hoga kunwari lash ki aankhon mein jhank kar dekho hasin khwab abhi tak machal raha hoga wahin wahin pe chalenge ye tez khanjar bhi jahan jahan tera akhbar chal raha hoga badal rahi hai qafas mein hawa agar 'panchhi' to maqtalon mein bhi mausam badal raha hoga