saqi-e-dauran kahan wo tere mai-khane gae wo inayat wo sakhawat jam-o-paimane gae ai meri himmat zara kuchh aur mera sath de aa gai nazdik manzil dur virane gae chain se soya hua tha intizar-e-hashr mein aap meri qabr par kyun phul barsane gae ai musibat tera aana bhi hai goya moajiza dost aur dushman ke sare farq pahchane gae ab pasheman hun ki kyun un ko kaha wada shikan ek zara si baat par muddat ke yarane gae bandagi ka maqsad-e-ala to pura kar diya sajda karne hum haram ko ya ki but-khane gae 'zabt' apni dil-lagi ke waste jalte hain sab shama jab bujhne lagi to dur parwane gae