hansi labon pe sajae udas rahta hai ye kaun hai jo mere ghar ke pas rahta hai ye aur baat ki milta nahin koi us se magar wo shakhs sarapa sipas rahta hai jahan pe dub gaya meri aas ka suraj usi jagah wo sitara-shanas rahta hai guzar raha hun main sauda-garon ki basti se badan pe dekhiye kab tak libas rahta hai likhi hai kis ne ye tahrir reg-e-sahil par bahut dinon se samundar udas rahta hai main wahshaton ke safar mein bhi hun kahan tanha yahi guman hai koi aas-pas rahta hai main guftugu ke har andaz ko samajhta hun ki meri zat mein lahja-shanas rahta hai wo faslon mein bhi rakhta hai rang qurbat ke nazar se dur sahi dil ke pas rahta hai jab un se guftugu karta hai koi bhi 'ejaz' ek iltimas pas-e-iltimas rahta hai