hansi mein saghar-e-zarrin khanak khanak jae shabab us ki sada ka chhalak chhalak jae dil-o-nazar mein basi hai wo chand si surat wo dil-kashi hai ki baalak humak humak jae libas mein hai wo tarz-e-tapak-e-araish jo ang chahe chhupana jhalak jhalak jae qadam qadam teri ranaiyon ke dar wa hon rawish rawish tera aanchal dhalak dhalak jae nafas nafas ho saba ki tarah bahaar-angez ufuq ufuq gul-e-hasti mahak mahak jae nashat-e-qurb ke lamhon mein us ki angdai ubhar ke khak-e-badan se dhanak dhanak jae baqa ke raaz hain sab us pe munkashif 'akbar' wo shakh-e-sabz hawa se lachak lachak jae