harif-e-gardish-e-ayyam to bane hue hain wo aaenge nahin aaenge hum saje hue hain bada hi khushiyon bhara hansta-basta ghar hai mera isi liye to sabhi qumqume jale hue hain wo khud-pasand hai khud ko hi dekhna chahe so us ke chaaron taraf aaine lage hue hain ye kis hasin ki sawari guzarne wali hai jo kaenat ke sab raste saje hue hain mahak rahi hai faza us badan ki khushbu se chaman hara-bhara hai phul bhi khile hue hain main us ki samt mein khud rasta banaunga wagarna us ki taraf raste bane hue hain