hansi mein tal rahe ho tum us ke rone ko na dekhta ho wo hone se pahle hone ko salam bhuk ko un ki karo jinhon ne kabhi bachae rakkha tha thoda anaj bone ko diye gae hain khazane unhi ko ahd-ba-ahd raha tha kuchh bhi nahin jin ke pas khone ko ghalat nahin ki lagati hain par maujen bhi jo jaanti hain faqat dubne dubone ko bikharna ye hai ki mayus laut jati hai jo raat aati hai mujh mein mujhe samone ko jo aaj dekho to baithe hain nil-kanth bane gae the hum bhi samundar kabhi bilone ko pata chala ki ye aankhen mili hain us ke liye shab-e-firaq ke gul raat bhar pirone ko kuchh aansuon se hi nikle to nikle kaam koi wo dagh hun ki samundar bhi kam hain dhone ko