gham sahte sahte muddat tak aisi bhi haalat hoti hai aankhon mein ashk umadte hain rone se nafrat hoti hai jab raat ka sannata hota hai dil mein khalwat hoti hai tum chandni jaise chhitka do aisi kaifiyyat hoti hai aalam par jaise chhae hon mahbub ki god mein aae hon ab dil ki mohabbat mein aksar aisi mahwiyyat hoti hai jab hasrat-o-arman mit jaen kuchh aas na ho kuchh yas na ho jab maut ki nind aae dil ko bedar mohabbat hoti hai jab ranj zamana deta hai hum maut ko dawat dete hain phir tum kyun yaad aa jate ho jine ko tabiat hoti hai meraj-e-junun ke raste mein aisa bhi maqam ek aata hai hum hosh mein hote hain lekin apne se bhi wahshat hoti hai be-dad ki bhi us zalim ko wo pyari adaen aati hain mar mar ke jiye jaane ko 'jigar' afsos tabiat hoti hai