hansna rona pana khona marna jina pani par padhiye to kya kya likkha hai dariya ki peshani par mahngai hai dam milenge socha tha hum ne lekin sharminda ho kar laute hain khwabon ki arzani par ab tak ujde-pan mein shayad kuchh nazzaron laeq hai warna jamghat kyun umda rahta hai is virani par raat jo aankhon mein chamke jugnu main un ka shahid hun aap bhale charcha kariye ab suraj ki tabani par subh-sawera daftar biwi bachche mahfil ninden raat yar kisi ko mushkil bhi hoti hai is aasani par us ki sapnon wali pariyan kyun main dekh nahin pata bachcha hairan hai mujh par main bachche ki hairani par ek achhuta manzar mujh ko chhu kar guzra tha ab to pachhtana hai khud mein dube rahne ki nadani par hum fankaron ki fitrat se waqif ho tum to 'akhilesh' maqsad samho ruk mat jaana bas lafzon ke mani par