kabhi to dub chale hum kabhi ubharte hue khud apni zat ke dariya ko par karte hue yahin se rah koi aasman ko jati thi khayal aaya hamein sidhiyan utarte hue agar wo khwab hai jo aankh mein salamat hai to phir ye kya hai jise dekhta hun marte hue simat ke khud mein mera khair kya bana hota hawa ke dosh pe tha dur tak bikharte hue nae safar ki kahin ibtida na ho manzil ye panw puchh rahe hain thakan se darte hue abhi to dur talak aasman suna tha kahan se aa gae panchhi udan bharte hue