hansne ka sabab yaad na rone ki wajah yaad

hansne ka sabab yaad na rone ki wajah yaad
ek yaad tujhe rakhne mein kuchh bhi na raha yaad

main lafz-e-khushi bhul ke ye soch raha hun
hoga kaf-e-jaanan ko bhi kya rang-e-hina yaad

chahe wo masaib hi ke aalam mein ho lekin
aaya to sahi bhulne walon ko khuda yaad

aisi bhi saza 'raaz' ne pai hai yahan par
ab yaad nahin jurm par ab tak hai saza yaad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close