hanste hain phul na ghunche hi muskurae hain

hanste hain phul na ghunche hi muskurae hain
bahaar mein bhi chaman par khizan ke sae hain

kamal-e-himmat-e-ahl-e-junun khuda rakkhe
gham-e-hayat ko hum ne gale lagae hain

ye ittifaq to dekho giri hai barq wahin
chaman mein hum ne jahan aashiyan banae hain

samajh na ye ki aman mil gai ghamon se hamein
waba ke dard ko sine mein muskurae hain

ye teri baada-gusari ki eid hai saqi
hai fasl-e-gul sar-e-mai-khana abr chhae hain

badhi hai gardish-e-ayyam rahnumai ko
rah-e-wafa mein jo hum ne qadam badhae hain

hazar khun-e-tamanna hua magar ai dost
tere sitam ka gila kab zaban pe lae hain

gila nahin gham-e-sabr-azma ka kuchh tujh se
khushi se hum ne ye bar-e-alam uthae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close