jis ki talab thi mujhko wo rahat kahan mili

jis ki talab thi mujh ko wo rahat kahan mili
tum mil gae tumhaari mohabbat kahan mili

kya kya diye hain chashm-e-tasawwur ne bhi fareb
mere khayal se teri surat kahan mili

dil ka dayar-e-husn mein ja kar mila suragh
khoi kahan thi aur ye daulat kahan mili

wo bazm-e-mai-kada ho ki khalwat-gah-e-haram
dil ko khayal-e-dost fursat kahan mili

us ne to ek bar bhi dekha na pyar se
mujh ko meri wafaon ki qimat kahan mili

talwon se khar chunte rahe hain tamam umr
aawargan-e-shauq ko rahat kahan mili

kahte hain jis ko ishq muqaddar ki baat hai
sab ko khuda ke ghar se ye daulat kahan mili

ji to bahal gaya teri mahfil mein kuchh magar
mujh ko gham-e-hayat se fursat kahan mili

guzra hai dard had se to hansne laga hun main
'nasir' wagarna mujh ko masarrat kahan mili


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close