hanste the mere haal ko jo yar dekh kar un sab ne ro diya mujhe bimar dekh kar sab ham-safir chhod ke tanha chale gae kunj-e-qafas mein mujh ko giraftar dekh kar kya jaane kya ghazab hai ye jadu bhari nigah ghash kar gaya hun main jise yak bar dekh kar khun-e-jigar ke sath kahin ji chala na jae rona zara tu dida-e-khun-bar dekh kar apne 'hawas' pe jab se ki tu mehrban hua jalte hain raat din use aghyar dekh kar