kabhi TuTa na afsun-e-sitam teri huzuri ka

kabhi tuta na afsun-e-sitam teri huzuri ka
bahut nazdik rah kar bhi raha ehsas-e-duri ka

kahan tak sath degi dekhen apni be-niyazi bhi
khumar-e-tishnagi khamyaza hai dasht-e-suburi ka

hazaron aaftabon ke lahu se tamtamata hai
bharam ek muskuraate chehra-e-zeba ki nuri ka

huzur irshad apna meri aankhon mein basa dije
ki phir shaki na ho koi bayan manzar se duri ka

ye mahrumi to apni bebasi hi ki mukafi hai
sila kuchh aur hona chahiye tha na-suburi ka

mohabbat khud-faramoshi se guzri ab ye aalam hai
ki ek aalam tamashai hai apni be-shuuri ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close