hanuz dard-e-judai-e-yar baqi hai

hanuz dard-e-judai-e-yar baqi hai
khatak raha tha jo dil mein wo khar baqi hai

na qais hai na wo mahmil-sawar baqi hai
bas ek ghubar faqat yaadgar baqi hai

sharab-e-aish kisi shab hui thi mujh ko nasib
usi sharab ka ab tak khumar baqi hai

kabhi to sham-e-musibat ki subh aaegi
agar ye gardish-e-lail-o-nahaar baqi hai

nigah-e-lutf se saqi hamin rahen mahrum
udhar bhi dekh ek ummid-war baqi hai

bahaar aaegi phir 'yas' na-umid na ho
abhi to gulshan-e-na-paedar baqi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close