haq jo manga to mere hath mein kashkol diya aaj us ne mere ehsas ka dar khol diya mere honton ko sakhawat ke qaside de kar har gali ja ke bajaane ko mujhe dhol diya chun ke har ek wafa aur murawwat meri mujh ko tahqir ki mizan mein kyun tol diya mere luqme pe nazar aise padi thi us ki zahr sa ek mere ehsas mein bas ghol diya us ghadi us ne meri zat se mangi hai najat meri hasti ki har ek shan ko jab rol diya ek lamhe mein badal dali hai dil ki duniya jaane kya us ki nigahon ne mujhe bol diya jism mein ruh ki manind sama kar us ne ahd-e-hijran ka mujhe tohfa-e-anmol diya