haq ki hai gar talash to ye man kar chalo

haq ki hai gar talash to ye man kar chalo
ab tak padha suna hai jo shayad sahi na ho

wo ilm jis se zauq-e-tajassus ki maut ho
us ilm se to achchha hai la-ilm hi raho

har baat hai kitab ki waiz mujhe qubul
tasdiq us ki bas zara dil se mere bhi ho

mazhab to shaikh hum ko wirasat mein hai mila
tahqiq kar ke kitnon ne khud hai chuna kaho

jis par kiya hai hum ne yaqin aankh mund ke
mumkin hai rah-e-haq se wo khud-ashna na ho

har sher ai 'sada' tera ho tazgi bhara
wo baat kah jo pahle kisi ne kahi na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close