hanste-hanste na sahi ro ke hi kaT jaane do

hanste-hanste na sahi ro ke hi kat jaane do
kaam jine ka kisi taur nipat jaane do

mere hisse ki jo khushiyan hain wo bat jaane do
dard-e-duniya mere sine mein simat jaane do

ruh nashad hai kyon fikr-e-tan-e-fani mein
tan hai poshak purani ise phat jaane do

sa’at-e-wasl qarib aae kisi bhi surat
zindagi apni jo ghatti hai to ghat jaane do

kab talak koi rahe rain-basere mein 'sada'
ab to wapas mujhe ghar apne palat jaane do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close