haq kisi ka ada nahin hota warna insan se kya nahin hota dil ka jaana to baat baad ki hai dil ka aana bura nahin hota kya hua dil ko muddaten guzrin zikr-e-mehr-o-wafa nahin hota husn ke hain hazar-ha pahlu ek pahlu ada nahin hota khud pe kya kya wo naz karte hain jab koi dekhta nahin hota dil bujha ho to khanda-e-gul bhi chubhta hai jaan-fiza nahin hota dhundh lati hai ek shokh nigah lab pe jo muddaa nahin hota khun bahate hain be-gunahon ka ye koi khun-baha nahin hota zindagi mein hain talkhiyan phir bhi aadmi be-maza nahin hota haq to 'hamid' ye hai ki haq ke siwa koi mushkil-kusha nahin hota