jabki ghusse ke bich aate ho

jabki ghusse ke bich aate ho
lakh lakh ek ki sunate ho

kaise har khae se bane piyare
baat karte hi kat khate ho

udti chidiya ko hum parakhte hain
kase baaton mein tum udate ho

kaho mujh se bhi chal sakoge kya
baitho ji baaten kya banate ho

jas na tis par na dekh dah padna
bhale matwale madh ke mate ho

jab main dekhun hun aankh bhar ke tumhein
badal aankhen mujhe dhiraate ho

kya tumhaari gadhi churai main
galiyan de jo munh churaate ho

jab na tab uth ke 'azfari' ka gala
dab dhamkate aur daraate ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close