haqiqat jis jagah hoti hai tabani batati hai koi parde mein hota hai to chilman jagmagati hai wo aae bhi nahin aur zindagi ki raat jati hai sahar hoti hai aur sham-e-tamanna jhilmilati hai sitaron ka sahaara le ke dharti baith jati hai falak ko dekh kar jis dam gharibi muskuraati hai main daman thamta hun aur ada daman chhudati hai mohabbat hai to kuchh be-gangi bhi pai jati hai meri nakaami-e-gham zauq-e-hairani banati hai ye duniya dur se meri nazar mein jagmagati hai sukut-e-wasl ka lamha bhi kya bedar-khwabi hai mohabbat jagti hai aur jawani soi jati hai wo jab sanjida hote hain ada angdai leti hai wo jab khamosh hote hain jawani gungunati hai zamana hai ki dil-giri mein afsurda sa rahta hai tabiat hai ki ghamgini mein jaulani pe aati hai hawa-e-daman-e-nikhat-faza ka wasta tum ko zara thahro charagh-e-zist ki lau thartharaati hai musalsal gulshan-e-hasti mein kante us ne boe hain ye duniya phir inhin kanton se kyun daman bachati hai na gham fursat hi deta hai na aansu band hote hain barasta ja raha hai meinh badli banti jati hai yahi hasti 'nushur' ek roz hai anjam-e-hasti bhi yahi duniya kisi manzil pe uqba ho ke aati hai