haqiqat mahram-e-asrar se puchh maza angur ka mai-khwar se puchh wafa aghyar ki aghyar se sun meri ulfat dar o diwar se puchh hamari aah-e-be-tasir ka haal kuchh apne dil se kuchh aghyar se puchh dilon mein dalna zauq-e-asiri kamand-e-gesu-e-khamdar se puchh dil-e-mahjur se sun lazzat-e-wasl nashat-e-afiyat bimar se puchh nahin juz girya-e-gham hasil-e-ishq hamari chashm-e-dariya-bar se puchh nahin aab-e-baqa juz jalwa-e-dost kisi lab-tishna-e-didar se puchh fareb-e-wada-e-dildar ki qadr shahid-e-khanjar-e-inkar se puchh fughan-e-shauq ko mane nahin wasl ye nukta andalib-e-zar se puchh tasawwur mein kiya karte hain jo hum wo taswir-e-khayal-e-yar se puchh mata-e-be-baha hai sher-e-'haali' meri qimat meri guftar se puchh