misl-e-hubab-e-bahr na itna uchhal ke chal hain sath sath mauj-e-hawadis sambhal ke chal barg-e-khizan-rasida se aati thi ye sada is bagh-e-sabz par kaf-e-afsos mal ke chal darpai nahang-e-marg hai darpesh chah-e-gor masti na kar hawas mein aa mat machal ke chal sote hain log tar hain kuche guzar hai tang tarik shab hai sath charagh-e-amal ke chal ai tan-parast jama-e-surat kasif hai bazm-e-huzur-e-dost mein kapde badal ke chal aati hai zer-e-khak se aawaz har qadam uftadgan-e-rah ke sar mat kuchal ke chal kab tak kasafaton mein rahega ba-rang-e-sard aab-e-rawan ki tarah nikal aur nikal ke chal jun shama tujh ko aatish-e-gham se gurez kyun sar par dhari hai aag qadam tak pighal ke chal jun nakhl-e-shama barq-e-tajalli gire kahin daghon se aablon se 'bayan' phul phal ke chal