haqiqat zist ki samjha nahin hai wo apne dasht se guzra nahin hai andhere raqs karte hain musalsal ki suraj raat ko aata nahin hai karega khud-kushi hi ek din wo sukun jis zehn ko milta nahin hai uthae ghumti hai zard patte hawa se aur kuchh chalta nahin hai na dubo shama mein parwano tum, ye dahakti aag hai dariya nahin hai umangon ki kai nadiyan hain is mein samundar hai ye dil sahra nahin hai ye jo aatish-fishan hai mujh mein 'sima' dahakta rahta hai bujhta nahin hai