haqiqaton se ulajhta raha fasana mera guzar gaya hai mujhe raund ke zamana mera samundaron mein kabhi tishnagi ke sahra mein kahan kahan na phira le ke aab-o-dana mera tamam shahr se ladta raha meri khatir magar usi ne kabhi haal-e-dil suna na mera jo kuchh diya bhi to mahrumiyon ka zahr diya wo sanp ban ke chhupae raha khazana mera wo aur log the jo mang le gae sab kuchh yahan to sharam thi dast-e-talab utha na mera mujhe tabah kiya iltifat ne us ke use bhi aa na saka ras dostana mera kise qubul karen aur kis ko thukraen inhen sawalon mein uljha hai tana-bana mera