main apni zat na apne makan mein rahti hun dhuen ka phul hun aatish-fishan mein rahti hun karam hai us ka jo deta hai shukr ke mauqe karam hai us ka jo main imtihan mein rahti hun ye wasl bhi hai kisi aur justuju jaisa kisi ke pas kisi ke guman mein rahti hun meri bahaar abhi laut kar nahin aai main khushk ped hun aur gulsitan mein rahti hun mere muamle pe aise chup hue hain log ye lag raha hai ki main raftagan mein rahti hun mere qabile ko aadat hai kar-o-kari ki main is ke khauf se dar-ul-aman mein rahti hun 'qamar' jo bigda hua hai mizaj dariya ka use pata hai main kachche makan mein rahti hun