har aan jalwa nai aan se hai aane ka chalan ye chalte ho aashiq ki jaan jaane ka qasam qadam ki tere jab talak hai dam mein dam main panw par se tere sar nahin uthane ka hamari jaan pe girti hai barq-e-gham zalim tujhe to sahl sa hai shaghl muskurane ka qasam khuda ki main kuchh kha ke so rahunga sanam jo sath apne nahin mujh ko tu sulane ka nasib us ke sharab-e-bahisht howe mudam hua hai jo koi mujid sharab-khane ka bahut se khun-kharabe machenge khana-kharab yahi hai rang agar tere pan khane ka hamari chhati pe phirta hai sanp yan 'ehsan' wahan hai shaghl use zulf ke banane ka