apni jaulan-gah zer-e-asman samjha tha main aab-o-gil ke khel ko apna jahan samjha tha main jis dil-e-na-aqebat-andesh ne chhoda tha sath aise diwane ko mir-e-karwan samjha tha main aankh band hote hi mujh par khul gaya raaz-e-hayat zist ko duniya mein umr-e-jawedan samjha tha main un ke qabze mein hai jannat un ke qabze mein hai nar is talli ko hadis-e-digaran samjha tha main mustaqil hai wo to barq-o-baad ka maskan 'zahir' ye ghalat-fahmi thi jis ko aashiyan samjha tha main