har aan us sitam-ijad ki ada hai aur ki din ko aur hai shab ko wo dilruba hai aur abas ye khuld ki targhib mujh ko hai waiz khuda-parasti se apna to muddaa hai aur mile jo hur ka bosa to main na lun waiz ki chumne mein kisi ke qadam maza hai aur ye dam-ba-dam hai fuzun shauq-e-talib-e-didar jawab-e-saf pe bhi arz-e-iltija hai aur ye himmat-e-dil-e-ashiq hai dad ke qabil tumhaare jaur pe bhi mail-e-wafa hai aur pila diye mujhe saqi ne khum pe khum 'sabir' magar wo tishna-dahan hun meri sada hai aur