dil mera nang raha karta hai rang be-rang raha karta hai har ghadi mujh se wo turk-e-khunrez barsar-e-jang raha karta hai tujh se puchhen to ye kahna qasid zist se tang raha karta hai ashk-bari se mera dida-e-tar sahil-e-gang raha karta hai dekh kar tujh ko ba-chashm-e-hairat aaina dang raha karta hai ghair ham-palla ho mera kya zikr misl-e-pasang raha karta hai ghair se ghair hue surat-e-bazm aur hi rang raha karta hai dost ho ya ki adu ho 'sabir' sab se yak-rang raha karta hai