har aane wale pal se dar raha hun kin andeshon mein ghir kar rah gaya hun kisi pyasi nadi ki bad-dua hun samundar tha magar sahra hua hun bas ab anjam kya hai ye bata do bahut lambi kahani ho gaya hun wahi mere liye ab ajnabi hain main jin ke sath sadiyon tak raha hun koi anhoni ho jaegi jaise main ab aisi hi baaten sochta hun khadi ho maut darwaze pe jaise main ghar mein hun magar sahma hua hun abhi kuchh der pahle chup lagi thi tumhein hamdard pa kar ro diya hun main koi shahr hun sadiyon purana hazaron bar ujda hun basa hun mera ab koi mustaqbil nahin hai main ab mazi mein apne ji raha hun mujhe shayad bhula pae na duniya main apne ahd ka ek hadsa hun salamat hun ba-zahir lekin 'arshad' main andar se bahut tuta hua hun