rang-e-taswir-e-jahan ko tera naqsha samjha zarre zarre ko main ek husn-e-sarapa samjha mahw-e-hairat jo tasawwur ne banaya mujh ko apni taswir ko main tera sarapa samjha be-khud-e-jalwa kabhi aur kabhi hushiyar raha kabhi mabud kabhi khud ko main banda samjha wa-e-ghaflat ki sarab-asa na jaana us ko bhul itni hui duniya ko main duniya samjha dida-e-tar ne uthae wo shab-e-gham tufan jo gira aankh se qatra use dariya samjha