har baat jo na hona thi aisi hui ki bas kuchh aur chahiye tujhe ai zindagi ki bas jo din nahin guzarna the wo bhi guzar gae duniya hai hum hain aur hai wo bebasi ki bas jin par nisar naqd-e-sukun naqd-e-jaan kiya un se mile to aisi nadamat hui ki bas main jis ko dekhta tha uchatti nigah se un ki nigah mujh pe kuchh aisi padi ki bas manzil samajh ke dar pe main to na ruk saka khud mujh se meri zindagi kahti rahi ki bas wo masale hayat ke jo masale nahin un masalon se uljha hai yun aadmi ki bas pahuncha jahan bhi log ye kahte hue mile tahzib apne shahr ki aisi miti ki bas duniya gharib jaan ke hansti thi 'mir' par 'iqbaal' mujh pe aise ye duniya hansi ki bas