kya hue aashiq us shakar-lab ke tane sahne pade hamein sab ke bhulna mat buton ki yari par hain ye bad-kesh apne matlab ke qais o farhad chal base afsos the wo kam-bakht apne mashrab ke shaikhiyan shaikh ji ki denge dikha mil gae wo agar kahin ab ke yaad rakhna kabhi na bachiyega mil gae aap waqt gar shab ke us mein khush howen aap ya na-khush yar to hain suna usi dhab ke yar bin 'aish' mai-kashi tauba hai ye apne khilaf mazhab ke