har baat yahan baat badhane ke liye hai ye umr jo dhoka hai to khane ke liye hai ye daman-e-hasrat hai wahi khwab-e-gurezan jo apne liye hai na zamane ke liye hai utre hue chehre mein shikayat hai kisi ki ruthi hui rangat hai manane ke liye hai ghafil teri aankhon ka muqaddar hai andhera ye farsh to rahon mein bichhane ke liye hai ghabra na sitam se na karam se na ada se har mod yahan rah dikhane ke liye hai