jang mein parwar-digar-e-shab ka kya qissa hua lashkar-e-shab subh ki sarhad pe kyun paspa hua ek ajab si pyas maujon mein sada deti hui main samundar apni hi dahliz par bikhra hua kachchi diwaren sada-noshi mein kitni taq thin pattharon mein chikh kar dekha to andaza hua kya sadaon ko salib-e-khamushi de di gai ya junun ke khwab ki tabir sannata hua rafta rafta mausamon ke rang yun bikhre ki bas hai mere andar koi zinda magar tuta hua sabz hathon ki lakiren zard mathe ki shikan aur kya deta meri taqdir ka likkha hua