har barahman but har ek muslim khuda le jaega mere dar se har mariz apni dawa le jaega khud mujhe aana hai tere pas ya burda tera mere pas aaega aur mujh ko utha le jaega main had-e-fasil tak aa pahuncha jo shauq-e-wasl mein wo had-e-fasil ko aur aage badha le jaega mujh ko jaane kis taraf se la raha hai rasta mujh ko jaane kis taraf ye rasta le jaega apne ghar ke sare darwaze khule rakhta hun main juz mere is ghar se koi chor kya le jaega aaina-bini ke baad 'akash' aankhon ko sambhaal ek bhi aansu agar tapka baha le jaega