aalam teri nigah se hai sarshaar dekhna meri taraf bhi tuk to bhala yar dekhna nadan se ek umr raha mujh ko rabt-e-ishq dana se ab pada hai sarokar dekhna gardish se teri chashm ke muddat se hun kharab tis par kare hai mujh se ye iqrar dekhna naseh abas kare hai mana mujh ko ishq se aa jae wo nazar to phir inkar dekhna 'chanda' ko tum se chashm ye hai ya ali ki ho khak-e-najaf ko surma-e-absar dekhna