har-chand husn-saz hun paikar-tarash hun lekin khad aaine ki tarah pash pash hun dil hi ki dhadkanon se thi raftar-e-zindagi jab dil hi mar chuka hai to phir zinda lash hun aathon pahar sukun mayassar nahin mujhe har lamha jo kasakti rahe wo kharash hun taswir-e-ahd-e-nau hai mujassam mera wajud aalam-e-rozgar hun fikr-e-maash hun mere junun-e-shauq ki manzil nahin koi yani rah-e-talab mein sarapa talash hun 'wahid' koi bhi us ki na tashkhis kar saka wo kaun sa maraz hai jo sahab-farash hun