jo dasht-e-tamanna mein har waqt bhatakta hai insan ka dil aisa masum parinda hai ek khak ka tuda hai par azmat-e-duniya hai naqqash-e-haqiqat ne kya naqsh tarasha hai main auron ko kya parkhun aaina-e-alam mein muhtaj-e-shanasai jab apna hi chehra hai hum apni haqiqat kya pahchan saken yaro parda hai nigahon pe zehnon mein dhundlaka hai soz-e-gham-e-hasti se 'wahid' teri nas nas mein ye garm lahu kya hai bahta hua lawa hai