har-chand jaisa socha tha waisa nahin hua lekin kaha hua ka bhi pura nahin hua tum ek gard-e-baad the chakra ke rah gae hum se bhi par zat ka sahra nahin hua khushbu kahin to phul hawa le udi kahin yun muntashir kisi ka qabila nahin hua sau waswason ki gard barasti rahi magar dil aisa aaina tha ki maila nahin hua patthar the hum so daulat-e-ehsas mil gai lut kar bhi kar-e-dil mein khasara nahin hua guzre dinon ka rup thi is rut ki dhup bhi so is baras bhi gham ka mudawa nahin hua logon pe khul chuke the madari ke gur 'najib' so koi bhi asir-e-tamasha nahin hua