kas-o-na-kas hain bahut dast-e-talab ke aage sar-e-pindar jhuka jata hai sab ke aage mujh se wabasta azal se hai yahi mauj-e-sarab kab se main tishna-dahan hun tere lab ke aage apne suraj ko bhala kis ke muqabil rakhiye mand pad jate hain sab tab ke tab ke aage aaj bhi hun main isi girya-e-shab mein mahsur jin ko jaana tha wo sab ja chuke kab ke aage bas isi waste raushan hai ye gham-khana-e-dil ek sahar bhi hai kahin par meri shab ke aage aur kya daulat-e-parwez milegi tujh ko hech hain naqd-o-guhar sher-o-adab ke aage