har-chand mera gham gham-e-nadida raha hai saya sa magar ruh pe larzida raha hai chubhte hi rahe khar-e-alam dast-e-talab mein rahat wo gul-e-jaan hai ki na-chida raha hai dube hain yahan kitni umangon ke safine tufan ka maskan dil-e-shorida raha hai bazicha-e-firdaus se kya bahlega wo dil mearaj-e-tarab par bhi jo ranjida raha hai ai manzil-e-nau-yafta main tere nishan tak jis raste se pahuncha hun wo pechida raha hai tashwish ke in ramnon se guzra hun akela ehsas jahan khauf se ram-dida raha hai kate hain wo sahra-e-tamanna tan-e-tanha 'arif' bhi jahan nazron se poshida raha hai taskin ke bahrup mein ab jaga hai wo hashr barson mere pahlu mein jo khwabida raha hai