koi chhota yahan koi bada hai ye sara khel zalim waqt ka hai wo sar karte hain jin ko hausla hai wagarna zindagi ek marhala hai tujhe malum kya hai lazzat-e-gham tera dil ishq se na-ashna hai jo khud waqif nahin manzil se apni khuda bakhshe hamara rahnuma hai duboega use kya koi tufan khuda kashti ka jis ki nakhuda hai chhupaun aaine se kya haqiqat bada kam-bakht hai sach bolta hai faqat ek darmiyan parda hai warna tera mera azal se wasta hai mila kar hath hum se faeda kya wahi ab tak dilon mein fasla hai nazar jati nahin 'asghar' kisi par nazar mein jab se wo jalwa-numa hai