har-chand mera shauq-e-safar yun na rahega kya khar sar-e-rahguzar yun na rahega mumkin hai teri yaad sulagti rahe ta-umr ye shoala sharar-bar magar yun na rahega is dhup mein meri bhi jhulas jaengi aankhen tera bhi rukh-e-ghuncha-e-tar yun na rahega mauqa hai gul-o-barg saja lo sar-e-mizhgan har fasl mein sarsabz shajar yun na rahega kuchh sher raqam karte chalo lauh-e-junun par har daur mein ye kar-e-hunar yun na rahega kuchh log mere baad bhi rah jaenge lekin sahra mein koi khak-ba-sar yun na rahega khush aae 'salim' aaj use meri asiri kal tak magar afsun ka asar yun na rahega