suni sunai wo aawaz mar hi jaane do sadi ka gham hai to lamhe bikhar hi jaane do main apni jaan ki bazi lagae baitha hun har ek bala mere sar se guzar hi jaane do lahu ke chhinton se ho jaegi faza gulnar hamare sine mein khanjar utar hi jaane do ye intishaar ka aalam ye pur-khatar mahaul azizo kakul-e-giti sanwar hi jaane do tumhein bhulane se dil ko sukun milta hai tum apni yaadon ke ye zakhm bhar hi jaane do 'habab' sab ke liye ek dars-e-ibrat hai use bhi chand ghadi ko ubhar hi jaane do