har-chand mere haal se wo be-khabar nahin lekin wo be-kali jo idhar hai udhar nahin aawaz-e-raftagan mujhe lati hai is taraf ye rasta agarche meri rahguzar nahin chamki thi ek barq si phulon ke aas-pas phir kya hua chaman mein mujhe kuchh khabar nahin kuchh aur ho na ho chalo apna hi dil jale itna bhi apni aah mein lekin asar nahin aati nahin hai in se shanasai ki mahak ye mere apne shahr ke diwar-o-dar nahin 'basir' jaga diya hai tumhein kis ne aadhi raat is dasht mein to nam-o-nishan-e-sahar nahin