jab bhi taqdir ka halka sa ishaara hoga aasman par kahin mera bhi sitara hoga dushmani nind se kar ke hun pashemani mein kis tarah ab mere khwabon ka guzara hoga muntazir jis ke liye hum hain kai sadiyon se jaane kis daur mein wo shakhs hamara hoga main ne palkon ko chamakte hue dekha hai abhi aaj aankhon mein koi khwab tumhaara hoga dil parastar nahin apna pujari bhi nahin dewta koi bhala kaise hamara hoga tez-rau apne qadam ho gae patthar kaise kaun hai kis ne mujhe aise pukara hoga